Ghalib
Aa, ki meree jaan ko qaraar naheen hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheen hai!
[ qaraar = rest/repose,bedaad = injustice ]
Dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-khumaar naheen hai!
[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to, khummaar = intoxication ]
Giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko ;
haay ki roone pe ikhtiyaar naheen hai!
[ giriya = weeping, ikhtiyaar = control ]
Humse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir ;
khaak mein ushshaaq kee ghubaar naheen hai!
[ 'abas = indifferent, gumaan = suspicion, ranjish = unpleasantness,
khaak = ashes/dust, ushshaaq = lovers, Ghubaar = clouds of dust ]
Dil se uthaa lutf-e-jalva haay ma'anee ;
Ghair-e-gul aainaa-e-bahaar naheen hai!
[ ma'anee = meanings, Ghair-e-gul = blossoms ]
Tune qasam mai_kashee kee khaaee hai 'Ghalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheen hai !
[ mai_kashee = boozing, 'eitbaar = trust/faith ]